Wednesday, December 29, 2010

फिर से मिल जाती

चाह रहा फिर से मिल जाती
गीली-सी कोई चम्बल ।
इस सुराप को सुरापिलाती
गीली -सी कोई चम्बल ॥

जब तेरी आँखों में देखा
जाने क्यों मदहोश हुआ ,
झलक रही थी उन आँखों में
नीली-सी कोई चम्बल ।
चाह ...........

तेरे निह्श्वासों की मुझको
याद कभी जब आती है ;
दिल पर छा जाती है छैल
छबीली-सी कोई चम्बल ।
चाह ................

नस- नस में बसनेवाली
हर एक रवानी चम्बल की ;
सपनों में रक्ताभ ,धवल ,
कुछ पीली-सी कोई चम्बल ।
चाह र...................

अभी तो धुंद है

इस सुबह तो सर्द है ,
धुंद है भारी
भटकती सूर्य की किरणें
कहीं पर खो गयीं हैं ।
बुझा चल फोन (मोबाईल )पर अपने
अभी एलार्म की घंटी
ये बालाएं पुनः
सुख नींद सी में सो गयी हैं ।

आपकी याद आती है
लिए एक ताजगी सी ;
कहीं पर आप भी होंगी
यूँ ही आधी जगी सी ।

कुहासा है मगर
कुछ पक्षियों के पर
पुनः हिलने लगे हैं
ख्यालों में ही शायद
आप-हम मिलने लगे हैं ।
तुरत अब धू प होगी
दूब पर मोटी बिछे होंगे ,
अगर हम मिल गए तो
जिन्दगी के सिलसिले होंगे ।










9

Saturday, December 25, 2010

न जाने और क्या क्या है तेरे फ़साने में

न जाने और क्या क्या है तेरे फ़साने में
कई तो टूट गए तुझको आजमाने में ।
मैंने शब्दों की तबीयत तलाशनी चाही
बस यही जुर्म है अपना तेरे ज़माने में।
जब कभी तू हमारे शहर से गुजरती है
देख लेता हूँ तेरा चेहरा पैमाने में ।
दिल की मायूशियों से दिल का नशा लड़ता है
यही हर रोज होता है तेरे मयखाने में ।

Monday, October 4, 2010

netaji ka daura -kaise hain netaji?

girgit naheen hain lekin, rangat badal rahe hain,
kursi ki chaah mein wey sangat badal rahe hain .

waadon ke hain dhani wo
hain jhooth mein jahin wo ;
jab aa pade jaroorat
dikhate naheen kaheen wo;
awasar ka dhyan rakh ke
ulfat badal rahe hain: girgit naheen hain lekin ..........

koi na jaat unki , koi na paant unki,
kursi ka dhyan rakh ke , har saath gaanth unki;
medhakanuma uchhalkar ,
pangat badal rahe hain: girgit naheen hain lekin ...........

Wednesday, September 29, 2010

yah sharad bhi samish hai

kash ke phoolon par apna
danturit haas bikherti yah sharadkaleen hawa
tie aur kamij ke bheetar
mere wakshasthal ke saphed baalon ko sahla jaati hai .

main use waise dekhata hoon
jaise vyaktigat sachiva banane ke liye antarweeksha dene aayee
kisi aatur utkanthit bala ka koi
sambhawanaon se bhara aabhasi pratibimb !

chalee gayee chilchilati dhoop ki
swedil dupaharee ,
chale gaye saawan - bhadon ke
shyamal-nam maas,
phir se simatane lage hain
plawit nadiyon ke twaran-vikal paaon.

sharad ke nirabhra aasamaan kee yah sheetal hawa
aparahn kee peeli dhoop par machalti hai
jaise
karyalaya kee kaleen par
antarweeksha kee prateeksha rat bhawee preyasee ke paaon .

ab aur naheen;
uthata hoon telephone
aur poochhane lagta hoon
vargeekrit vigyanpan kee nayee daren .

Tuesday, July 13, 2010

itna kahne mein ................ 2

yah to socha bhi nahin tha kayamat ban ke kabhi
tu mere ird gird itna paas aaogi;
apne saanson ki mahak chhod meri saanson mein
mujhko tanhaaion mein der tak rulaogi.

tabeeyat theek nahin hai, beiman hai mausam
ashk mein doobakar aankhen nirash hoti hain;
phir bhi man mein kahin chupchap muskurata hoon
way hawayen kabhi jab aas pass hoti hain .

pyar hai jaaneman yah aur kuchha nahin hai idhar
man hi man bar bar aitabar karta hoon;
par hichakta hoon main be intaha ai jaane chaman
itna kahne mein ki main tumse pyar karta hoon .

Monday, July 12, 2010

itna kahne mein ki main tumse pyar karta hoon-1

har tamanna ka rajdaar khuda hota hai ,
phir bhi har shaksha ka andaaz juda hota hai;
chand ko chahanewali to hai saaree duniya,
dekhana hai ki kis par chand phida hota hai .

wakt deewar hai sharmo haya salaakhen hain
aisa haiwan bhi nahin hoon ki tod daaloon main;
tum ho us paar aur is paar main tadapata hoon
tumko dekhoon ki apne aap ko sambhaaloon main.

kya ajab hai ki main kal raat waisa likh dala
jaisa main bees saal pahle likha karta tha;
kintu mumkin nahin hai aaj waisa dikh paana
jaisa main bees saal pahle dikha karta tha .