Tuesday, July 13, 2010

itna kahne mein ................ 2

yah to socha bhi nahin tha kayamat ban ke kabhi
tu mere ird gird itna paas aaogi;
apne saanson ki mahak chhod meri saanson mein
mujhko tanhaaion mein der tak rulaogi.

tabeeyat theek nahin hai, beiman hai mausam
ashk mein doobakar aankhen nirash hoti hain;
phir bhi man mein kahin chupchap muskurata hoon
way hawayen kabhi jab aas pass hoti hain .

pyar hai jaaneman yah aur kuchha nahin hai idhar
man hi man bar bar aitabar karta hoon;
par hichakta hoon main be intaha ai jaane chaman
itna kahne mein ki main tumse pyar karta hoon .

Monday, July 12, 2010

itna kahne mein ki main tumse pyar karta hoon-1

har tamanna ka rajdaar khuda hota hai ,
phir bhi har shaksha ka andaaz juda hota hai;
chand ko chahanewali to hai saaree duniya,
dekhana hai ki kis par chand phida hota hai .

wakt deewar hai sharmo haya salaakhen hain
aisa haiwan bhi nahin hoon ki tod daaloon main;
tum ho us paar aur is paar main tadapata hoon
tumko dekhoon ki apne aap ko sambhaaloon main.

kya ajab hai ki main kal raat waisa likh dala
jaisa main bees saal pahle likha karta tha;
kintu mumkin nahin hai aaj waisa dikh paana
jaisa main bees saal pahle dikha karta tha .