Wednesday, September 29, 2010

yah sharad bhi samish hai

kash ke phoolon par apna
danturit haas bikherti yah sharadkaleen hawa
tie aur kamij ke bheetar
mere wakshasthal ke saphed baalon ko sahla jaati hai .

main use waise dekhata hoon
jaise vyaktigat sachiva banane ke liye antarweeksha dene aayee
kisi aatur utkanthit bala ka koi
sambhawanaon se bhara aabhasi pratibimb !

chalee gayee chilchilati dhoop ki
swedil dupaharee ,
chale gaye saawan - bhadon ke
shyamal-nam maas,
phir se simatane lage hain
plawit nadiyon ke twaran-vikal paaon.

sharad ke nirabhra aasamaan kee yah sheetal hawa
aparahn kee peeli dhoop par machalti hai
jaise
karyalaya kee kaleen par
antarweeksha kee prateeksha rat bhawee preyasee ke paaon .

ab aur naheen;
uthata hoon telephone
aur poochhane lagta hoon
vargeekrit vigyanpan kee nayee daren .

No comments:

Post a Comment